Once apon a time.

Mera naam Nikhil hai. Or m ek 24 Saal ka jawan hu. Mujhe apne zindgi m khushi bhut hi kam mili h.m humesa is khushi naam ki chiz ko tarasta raha hu. Kabhi thik se samjha hi nahi...

Or log kahte the ki tujhe hasna ni aata kya? Ha par such yahi tha ki mujhe kabhi hasna aaya hi ni.

Ek chota sa baccha jise bazar m ek khilona pasand aaya usne use karidne k liye zid ki par use ni dilaya gaya wo khoob roya per koi fayda ni. Fir kya tha wo roker chup ho gaya or bhool gya.

Agli bar bhi fir kuch esa hua...wo mom dad k sath bahar ghumne gya.usne ek chocolate ki maang ki per fir ek naya bshana bana diya gya.wo samajh gya ki koi use pyar ni krta .usne ab har khuaish krna chodd diya.

Ab har pal wo bas khud m magan rahta h.akela rahna hi bhut accha lagta h.or vese bhi akele rahne ka ek bada fayda to h ki kisi se dhokha ni khaoge. Or kisi ko khone ka dhukh bhi hota.

Kisi bhi mata pita ko apne bacche ko samajhna aana chahiye.ni to ya to uski zindgi bhut kharab ho jati h, ya fir khatm. .....


Comments

Popular posts from this blog

Tum ab tak ni bhule mujhe

Succhi mohabbat. .